Tuesday 19 November 2013

AsYa FF: Time to go back (Chapter 8)







NEXT DAY MORNING


KARAN'S ROOM


Tring tring!
Tring tring!
Tring tring!
Tring tring!

Karan: *irritated*
Aagghhh!!!
Kon hai subah subah?

Najma: Tum ab tak so rahe ho? Zoya ne packing bhi shuru kardi hai! Tumhe sirf plan banana hi aata hai yaa usse pe khare utarna bhi aata hai?

Karan: Haan haan meri maa! Subah subah par?

Najma: 10 baj rahe hai karan!

Karan: *shocked* kya???
Mai aata hoon! Abhi aata hoon!
Sorry yaa. Ab tak time settle nai hua!

Najma: Vo sab toh thik hai par mai apna kaam shuru karun?

Karan: Nai nai! Mai aa raha hoon!
Ghar se nikal gaya hoon.

Najma: Jaldi!

Karan: Haan!

Najma: Tum jaldi aao mai rakti hoon!

Karan: Ek favour karogi?

Najma: kya?

Karan: Please kuch khana bahar rakhna na! Khane ke bina mera dimag nai chalta!

Najma: Vahi mai socho subah se itna dumb act kyun kar rahe ho!

Karan: Suna maine!

Najma: Sunne ke liye hi kaha tha!

Karan: *huff*

Najma: Kuch rakhti hoon tayaar tum jaldi aao.

Karan: love you too! Bye!

Najma: Kya insaan hai? *huff*



HALL


Bell rings..!


Najma: Finally!

Karan: Muje miss kiya?

Najma: Haan haan! Bahut kiya!
Ab ye frankie khao aur jao Zoya ke paas! Aur mai bhaijaan ke paas! Waqt nai hai!

Karan: Thanks yaa! Chalo plan shuru karte hai!


Karan starts walking towards Zoya's room.

Najma: Karan?

Karan: Haan?

Najma: Sab theek hoga nah?

Karan: Haan! Chaho toh sab kuch hai aasaan ye hai youngistan meri jaan! ROFL
Chill! Sab theek hoga! 

Agains continues towards Zoya's room.

Najma: Karan?

Karan: Ab kya?

Najma: Thanks!

Karan: Ladkiyon ke liye kuch bhi!
Just kidding!
Yr alwayz welcome waise ye sab mai apni bestie ke liye bhi kar raha hoon!
Dare you say thanks..!

Najma: hahahahaha! Okaay!
All the best!

Karan: You too!


Karan finally heads for Zoya's room and Najma for Asad's...



ZOYA'S ROOM


Karan: Hey princess!

Zoya: Hey prince!
Tu kab aaya?

Karan: Bas abhi abhi! Vo tujse kuch baat karni thi..

Zoya: Haan bol na!

Karan: Tu khush hai? Matlab ab jaana hai kal..so...!

Zoya: Didnt i tell u? Zip it up for this topic! Muje koi baat nai karni! Kal jaana hai baas!

Karan: Baat toh sun...

Zoya: kuch nai sunna! Tuje kuch batana hi nai chahiye tha!

Karan: Muje nai batati toh kisse batati?

Zoya: Kisse ko nai! Dabba deti andar!

Karan: Aur tuje lagta hai muje pata nai chalta?

Zoya: Nai hi chalta!

Karan: Tere batane se pehle muje lag rha tha! Aache se jaanta hoon tuje! Raag raag se vakif hoon! Samajta hoon tuje!

Zoya: Toh kyun pareshan kar rha hai jaana packing kar!

Karan: Mai bas kuch share karna chahta tha. Jo maine dekha hai!
*thinking*
Yaa allah maaf kar dena full on drama create karne wala hoon!

Zoya: Kya kehna hai?

Karan: Vo mai kuch kehna chahta tha...



ASAD'S ROOM 

Najma holds her ears before entering saying sorry allah miyya!

Najma enters without knocking. 

Najma: *acting a bit angry*
Bhaijaan kuch kaam tha...

Asad: Kya hua tamatar?

Najma: Mai soch nai sakti thi ki vo aisa kar sakti hai!
Haan pata tha ego hai par itna?

Asad: Kya? Kaun?

Najma: Zoya!



ZOYA'S ROOM

Zoya: Kya? Bolo nah!

Karan: *acting a bit angry*
Mai soch nai sakta tha ki vo aisa kar sakta hai!
Haan pata tha ego hai par itna?

Zoya: Kya bol rahe ho? Kaun?

Karan: Asad!
***


I knw i knw! Bahut weird tha aur late bhi! Gosh trust me muje likhna tha par itni stupid update mai apni full family trip mein chup chaap kissi ko pata na chale waise kaise likhu ROFL
Maine yeh update car mein on my way out of new zealand mein likha hai! See kitni despo thi mai updte karne ko! LOL






Luv Ani <3 



No comments:

Post a Comment